Tuesday, March 9, 2010

Lage Raho Munna Bhai - Good Morning Mumbai

Sehar ke is daud main daud ke karna kya hain
Agar yahin jina hain doston,to fir marna kya hain.

Pehli barisss main train late hone ki fikr hain
Bhool gaye bhigte hue tehanlna kya hain.

Serial ke kirdaro ka sara haal hain maloom
Par Maa ka haal poochne ki fursat kahan hain.

Ab ret pain nange pao tehalte kyun nahin?
108 hain channel, par dil behalte kyun nahin?

Internet par duniya se toh touch main hain
Lekin paros main kaoun rehta hain ,jante tak nahin

Mobile landline sab ki bharmar hain,
Lekin jigari dost tak pahooche aise tar kahan hain

Kab doobte hue suraj ko dekha tha, yaad hain!
Kab jana tha shaam ka gujarna kya hain

Toh shehar ke is daud main daud ke karna kya hain,
agar yahin jina hain, toh fir marna kya hain.

No comments:

Post a Comment

Hello Visitor,

Thank you so much for your visit. Leave a comment/suggestion for us.

Come again!!!