Saturday, June 8, 2013

Anand : Kahin Door Jab Din Dhal Jaaye Saanj - Mukesh

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye
Mere Khayalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaye
Deep Jalaye...

(Kabhi Yun Hi Jab Hui Bojhal Saansen
Bhar Aai Baithe Baithe Jab Yoon Hi Aankhen)... (R2)
Kabhi Machal Ke Pyaar Se Chal Ke
Chhuye Koi Mujhe Par Nazar Na Aaye
Nazar na aaye..

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye

(Kahin To Yeh Dil Kabhi Mil Nahin Paate
Kahin Pe Nikal Aaye Janmon Ke Naate)... (R2)
Ghani Thi Uljhan Bairi Apna Man
Apna Hi Hoke Sahe Dard Paraye
Dard Paraye...

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye

(Dil Jaane Mere Saare Bhed Ye Gehre
Ho Gaye Kaise Mere Sapne Sunehre)... (R2)
Yeh Mere Sapne Yehi To Hain Apne
Mujhse Juda Na Honge Inke Yeh Saaye
Inke Yeh Saaye..

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye
Mere Khayalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaye
Deep Jalaye...

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye

No comments:

Post a Comment

Hello Visitor,

Thank you so much for your visit. Leave a comment/suggestion for us.

Come again!!!