Tuesday, June 11, 2013

Aanewala Pal Jaanewala Hai - Kishor Kumar

Hmmmm Mmmm Aha Ha Ha Hey Hey Hey
Hmmmm Hmmmm

Aanewala Pal Jaanewala Hai (R2)
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai Ho Ho

Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai

Ek Baar Yoon Mili Maasoom Si Kali (R2)
Ho Khilte Hue Kahaa kushbaash Mein Chali
Dekha To Yahin Hai Dhundha To Nahin Hai Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai Ho Ho

Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai

Ek Baar Waqt Se Lamha Gira Kahin (R2)
Wahaan Dastan Mili Lamha Kahin Nahin
Thoda Sa Hasaake Thoda Sa Rulaake Pal Ye Bhi Jaanewala
Hai Ho Ho

Aanewala Pal Jaanewala Hai
Ho Sake To Iss Mein Zindagi Bitaado Pal Jo Yeh
Jaanewala Hai Ho Ho
Aanewala Pal Jaanewala Hai (R2)

Sadma : Ae Zindagi Gale Laga Le - Suresh Wadkar

Movie : Sadma    Music Director : Ilayaraja  Singer : Suresh Wadkar

Ae zindagi gale laga le (R2)
Hum ne bhi tere har ik gam ko
gale se lagaya hai
Hai na
Ae zindagi gale laga le
Ae zindagi

(Hum ne bahane se, chhup ke jamane se
Palkon ke parde main ghar bhar liya) (R2)
Tera sahara mil gaya hai zindagi
La la lala la la lala la la la
Tera sahara mil gaya hai zindagi

Ae zindagi gale laga le (R2)
Hum ne bhi tere har ik gam ko
gale se lagaya hai
Hai na
Ae zindagi gale laga le
Ae zindagi

(Chhota sa saya tha, aakhon main aaya tha,
Humne do boondon se mann bhar liya) (R2)
Humko kinaara mil gaya hai zindagi
la la lala la la lala la la la
Humko kinaara mil gaya hai zindagi

Ae zindagi gale laga le (R2)
la la lala la la lala la la la
Hain na?
Ae zindagi gale laga le
gale laga le
gale laga le
Ho, gale laga le

Chhoo Kar Mere Man Ko - Kishor Kumar

Chhookar Mere Man Ko
Kiya Tuney Kya Ishara
Badla Yeh Mausam
Lagey Pyaara Jag Saara
Chhookar Mere Man Ko
Kiya Tuney Kya Ishara

Tu Jo Kahe Jeevan Bhar
Tere Liye Main Gaaoon (R2)
Geet Tere Bolon Pe
Likhta Chala Jaaoon (R2)

Mere Geeton Mein
Tujhe Dhoonde Jag Saara

Chhookar Mere Man Ko
Kiya Tuney Kya Ishara

Aaja Tera Aanchal Yeh
Pyaar Se Main Bhar Doon (R2)
Khushiyan Jahan Bhar Ki
Tujhpe Nazar Kar Doon (R2)

Tu Hi Mera Jeevan
Tu Hi Jeene Ka Sahara

Chhookar Mere Man Ko
Kiya Tuney Kya Ishara

Ramaiya Vastavaiya : Jeene Laga Hoon

Singers: Atif Aslam, Shreya Ghoshal  Music: Sachin - Jigar Lyricist: Priya Panchal
Cast: Girish Kumar, Shruti Haasan Music Label: Tips Music

Jeene laga hoon, pehle se zyada
Pehle se zyada, tumpe marne laga hoon

Main mera dil aur tum ho yahaan
Phir kyun ho palkein jhukaye wahaan
Tum sa haseen pehle dekha nahin
Tum iss sey pehle thhe jaane kahaan
Jeene laga hoon pehle se zyada
Pehle se zyada tumpe marne laga...
hmmmmm... ho..

Rehte ho aake jo tum paas mere
Tham jaaye pal yeh wahin
Bas main yeh sochun...

Sochun main tham jaaye pal yeh
Paas mere jab ho tum... (R2)

Chalti hai saansein, pehle se zyada
Pehle se zyada, dil theharne laga...
Hmmmmm... ho...

Tanhaaiyon mein tujhe dhoonde mera dil
Har pal yeh tujhko hi, soche bhala kyun

Tanhaai mein dhoonde tujhe dil
Har pal tujhko soche (R2)

Milne lage dil, pehle se zyada
Pehle se zyada, ishq hone laga..
Hmmmm... ho...

Saturday, June 8, 2013

Anand : Kahin Door Jab Din Dhal Jaaye Saanj - Mukesh

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye
Mere Khayalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaye
Deep Jalaye...

(Kabhi Yun Hi Jab Hui Bojhal Saansen
Bhar Aai Baithe Baithe Jab Yoon Hi Aankhen)... (R2)
Kabhi Machal Ke Pyaar Se Chal Ke
Chhuye Koi Mujhe Par Nazar Na Aaye
Nazar na aaye..

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye

(Kahin To Yeh Dil Kabhi Mil Nahin Paate
Kahin Pe Nikal Aaye Janmon Ke Naate)... (R2)
Ghani Thi Uljhan Bairi Apna Man
Apna Hi Hoke Sahe Dard Paraye
Dard Paraye...

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye

(Dil Jaane Mere Saare Bhed Ye Gehre
Ho Gaye Kaise Mere Sapne Sunehre)... (R2)
Yeh Mere Sapne Yehi To Hain Apne
Mujhse Juda Na Honge Inke Yeh Saaye
Inke Yeh Saaye..

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye
Mere Khayalon Ke Aangan Mein
Koi Sapnon Ke Deep Jalaye
Deep Jalaye...

Kahin Door Jab Din Dhal Jaye
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye, Chupke Se Aaye